An urdu poem dedicated to Muslim women in France



In the name of Allah , the Entirely Merciful, the Especially Merciful.


             Hay Hijab main hamaree izzat o waqar  by Allama Ibtisam Elahi Zaheer




France main paree hay jo Muslimah ko mar
Dil howa hay zakhmee or ankhain hay ashkbar

Ghairat pay musliman key hay kufr key yalghar
Seenay main zaham hain to tan be hay figar


Sarkozy kay amal nay paida kiya bigarr
Huriyyat kay zabtoon ko kiya us nay tar tar

Uryaniat ka nam hay azadee ay izhar
Chubtee hay in ko sharam,haya say hain yay bayzar

Azadi kay nam pay,aurat ka hay shikar
Chehra jo us nay dhanpa,chillanay laga Makar

Apnee marzee key zindagee ka nara kahan hay yar
Sarab hain ya dhoka yay maghrabi afkar

Jo ban than sanwar kay niklay,wo azadee ka ishtihar
Aur Niqab key saza hay jailain ya tahta e dar

Ummat ka ittehad hay waqat key pukar
Har peer o janwan rahay isi kay liyay tayyar

Phir ghar say lay kay niklo Khalid ka ghalghala or tayghay zulfiqar
Alim ko phir dikhao Farooq key adalat ,Siddiq ka waqar

Zaheer zalimoon say kah do,hay hijab main hamaree izzat o waqar
Aur arahay hain lamhay jab sharam o haya kay dushman hongay zaleel o khar

==========

Disqus Shortname

designcart